How to temporarily disable your Facebook account in 2020 | Android ,iPhone 2020
Dosto,Aaj ke time me ham sabhi bahut si social services Ka use krte hai aur unme se hi ek Facebook bhi hai eska estemaal aaj bahut se log daily basis pe krte hai, Facebook me aisi service hai Jaha ham apni photos aur videos ko duniya ke samne post krte hai aur log unhe dekhte hai like krte hai ,comment krte hai aur share krte hai es wajah se kayi Baar ham Kuch galat cheej ya Kuch aisa post kr dete hai jiski wajah se hame Apne account ko hatane ya Kuch time ke liye disable krne ki naumat AA jati hai par bahut se logo ye pata hi nhi hota ke ham account ko disable kaise kre to aaj ham apko yahi batane wale hai take agar Kabhi apko account ko disable ki jaroorat pade to aap asani ke sath kr paye account ko disable krne se apka koi bhi data delete nhi Hoga ham account ko delete nhi kr rahe agar apko account ko delete krne ke bare me janena hai to Yaha click kre (delete Facebook account) aap jab bhi Apne account ko bodara login krege ye fir se active ho jayega to chaliye jante hai ke ham Facebook account ko kaise disable kr sakte hai to neeche bataye Gaye tareeke ko follow kijye.
Disable Facebook account.
Facebook account ko disable krne ke liye sabse pahle Apne account ko login kr le Uske baad top right side me diye Gaye three lines me click kre
Ab neeche Jake settings ke option pe click kre
Ab neeche Facebook Information section me Jake Account Ownership and Control option pe click kre
Ab Facebook apse account Ka password dalne ko bolega to apna password dale aur deactivate account pe click kr de
Click krte hi apka account deactivate ho jayega to es Tarah se aap apna Facebook account ko deactivate kr skate hai
Agar apko hamere dwara Di gayi jankari achchhi lagi ho to ESI Tarah ki jankari pane ke liye hame follow kre, Dhanyawaad
Comments
Post a Comment
If you have any doubts,Please let me know