How to permanently delete Facebook account in 2020| Android, iPhone 2020
Dosto,Aaj ke time me ham sabhi bahut si social services Ka use krte hai aur unme se hi ek Facebook bhi hai Facebook me aisi service hai Jaha ham apni photos aur videos ko duniya ke samne post krte hai aur log unhe dekhte hai like krte hai ,comment krte hai aur share krte hai es wajah se kayi Baar ham Kuch galat cheej ya Kuch aisa post kr dete hai jiski wajah se hame Apne account ko hatane ki naumat AA jati hai par bahut se logo ye pata hi nhi hota ke ham account hataye (delete) kaise to aaj ham apko yahi batane wale hai take agar Kabhi apko account ko hatane(delete) ki jaroorat pade to aap asani ke sath hata paye par ham(delete) aapko bata de ke account ke hatane(delete) ke sath hi apke dwara Share ki gayi sari cheeje bhi hat ya delete ho jayegi to ye janene ke sath hi chaliye jante hai ke ham Facebook account ko kaise delete kr sakte hai to neeche bataye Gaye tareeke ko follow kijye.agar aap apna account delete nhi disable krna chahte hai to click here.
Delete Facebook account.
Facebook account ko delete krne ke liye sabse pahle Apne account ko login kr le Uske baad top right side me diye Gaye three lines me click kre
Ab neeche Jake settings ke option pe click kre
Ab neeche Facebook Information section me Jake Account Ownership and Control option pe click kre
Ab Deactivation and Deletion ke option me click kre
Aur Yaha pe Delete account ke option ko chune
Ab Facebook apse account Ka password dalne ko bolega to apna password dale aur delete account pe click kr de
Click krte hi apka account delete ho jayega to es Tarah se aap apna Facebook account ko delete kr skate hai
Agar apko hamere dwara Di gayi jankari achchhi lagi ho to ESI Tarah ki jankari pane ke liye hame follow kre, Dhanyawaad
Comments
Post a Comment
If you have any doubts,Please let me know