How to temporarily disable Instagram account in 2020 | Android ,iPhone 2020
Dosto,Aaj ke time me ham sabhi bahut si social services Ka use krte hai aur unme se hi ek Instagram bhi hai eska estemaal aaj Facebook se bhi jyada Kiya ja raha hai,Instagram me aisi service hai Jaha ham apni photos aur videos ko duniya ke samne post krte hai aur log unhe dekhte hai like krte hai ,comment krte hai aur share krte hai es wajah se kayi Baar ham Kuch galat cheej ya Kuch aisa post kr dete hai jiski wajah se hame Apne account ko hatane ya Kuch time ke liye disable krne ki naumat AA jati hai par bahut se logo ye pata hi nhi hota ke ham account ko disable kaise kre to aaj ham apko yahi batane wale hai take agar Kabhi apko account ko disable ki jaroorat pade to aap asani ke sath kr paye account ko disable krne se apka koi bhi data delete nhi Hoga ham account ko delete nhi kr rahe agar apko account ko delete krne ke bare me janena hai to Yaha click kre (delete Instagram account) aap jab bhi Apne account ko bodara login krege ye fir se active ho jayega to chaliye jante hai ke ham Instagram account ko kaise disable kr sakte hai to neeche bataye Gaye tareeke ko follow kijye.
Disable Instagram account .
Instagram account ko disable krne ke liye apnko instagram ke web version ko use krne Hoga eske liye aap Apne computer ya mobile me Google Chrome ko desktop mode me use kr ke kr sakte hai
Sabse pahle aap computer ya mobile me Apne Instagram account ko login kr le aur top right side me diye Gaye edit profile pe click kre
Ab sabse neeche Jake ek option Hoga temporarily disable my account ,us pe click kre
Ab Yaha pe Instagram apse account ko disable krne ke liye wajah punchega to aap Apne hisab se ek wajah chun sakte hai Yaad rahe apko ek wajah chunena jaroori hai
Ab password dale aur disable account pe click kre
Yaha pe click krte hi apka account disable ho jayega aur jab tak ese dobara se login nhi krte tab tak disable hi rahega
To es tarah se aap Apne Instagram account ko disable kr skate hai to agar apko hamara dwara batayi gayi jankari achchhi lagi hoto esi Tarah ki aur jankari ko pane ke liye hame follow kre, Dhanyawaad
Comments
Post a Comment
If you have any doubts,Please let me know