HOW TO REMOVE ADDS FROM MI PHONES
Namskaar dosto, atoztechnicaltip me apka swagat hai.Dosto Mi ek bahut hi janimani company band chuki hai hamare India me aur jyada tr log mi ke phones ka hi use kr rahe hai hai .Mi hame achchhhe specification ke phones bahut achchhe aur Saste damo me deti hai jisse jyada tr log mi ka hi phone le rahe hai aur use kr rahe hai par daam ko Kam krne ke karan company mobile phone me hi hame bahut hi bekar ki cheeje dikhati hai jinme se adds bhi hai Jo ki bahut bekar hone ke sath sath hame paresan bhi bahut krte hai phone me har Jaga adds hi adds dikhayi dete hai par aaj ham apko ek aisi trick batayege jisse aap Apne mi ke phone se jyada tr adds ki problem se chutkara pa lege waise ye tareeka mobile me pahle se mauzood hai par jyada tr logo ko es cheej ka pata nhi aur Kaha kaha se kya kya krna hai wo bhi to ham apko poori Tarah se batayege ke apko adds ko hatana ke liye kya kya krna hai to chaliye jante hai kya hai wo trick.
OFF ADDS FROM MI PHONES.
Dosto mi ke phone se adds ko hatane ke liye hame mobile ki Kuch setting ko off krna Hoga eske sath hi mobile me mauzood pahle se apps me bhi Kuch setting ko off krna Hoga jisse adds aane band ho Jaye to chaliye krte hai .
1. Sabse pahle apko mobile ki setting me Jana Hoga
2. Ab apko additional setting me Jana Hoga
3. Ab apko privacy ki ek setting milegi
4. Privacy ke Ander Jake sabse neeche Jane par apko do setting milegi jisme se ek hogi ad service
5. Doosri hogi web apps
Apko en dono setting ko band kr dena hai jisse mobile me aane wale kafi had tak adds band ho jayege aur nhi aayege.
OFF ADDS FROM MOBILE APPS
Hame mobile se adds ko band kr Diya hai par mobile ke alawa mi ke phones me aane wale apps me bhi bahut hi jayad adds aate hai aur wo bahut hi bekar bhi hote hai to ab ham unhe band kaise kre wo jante hai to chaliye unhe bhi band krte hai.
1. Kisi app se adds ko band krne ke liye sabse pahle us app ko open kr li jiye Uske baad us app ki setting me jaiye
2. Ab waha recommendetion Ka option milega jise band kr dijiye
Ab apke phone me fir us app ke Ander adds nhi ayege yahi cheej aap un sabhi apps ke sath kr sakte hai jisme adds aate ho jisse unme adds aane band ho jayege.
To Mai aasha krta hu dosto ke apko hamare dwara batayi gayi trick ke use krne ke baad mi ke phones me adds ki problem nhi ayegi aur aap apna phone achchhe se use kr payege to esme to Etna hi aur ESI Tarah ki achchhi trick ko janene ke liye hame follow krte rahiye, Dhanyawaad.
Comments
Post a Comment
If you have any doubts,Please let me know